Urdu Designe Poetry



Tujh say naraz nahi zindagi, Hairan hoon main
Oooo Hairaaan hoon main
Teray masoom sawalon say pareshan hoon main
Ooo pareshaaan hoon main
Jeenay k liye socha hi nahi, dard sambhalnay hon gain
Muskuraein tou muskuranay k karz utaarnay hoon gay
Muskuraon kabhi to lagta hai 
Jaisay honton pay karz rakha hai
Tujh say naraz nahi zindagi, Hairan hoon main

Aaj agar bhar aaie hai boondain baras jayen gee
Kal kiya pata inn k liye aankhain taras jayen gee
Janay kahan ghum hua
Aik ansoo chupa k rakha thaa
Tujh say naraz nahi zindagi , hairan hoon main

Zindagi teray ghum nay humain rishtay naye samjhye
Milay jo humain dhoop main milay, chaoon k thanday saye
Tujh say naraz nahi zindagi, Hairan hoon main
Teray masoon sawaloon say pareshan hoon main







Chehre pe mere zulf ko phailao kisi din
Kya roz garajate ho baras jao kisi din
Razon ki tarah utaro mere dil main kisi shab
Dastak pe mere hath ki khul jao kisi din
Peron ki tarah husn ki barish main naha lun
Badal ki tarah jhum k ghir ao kisi din
Khushbu ki tarah guzro mere dil ki gali se
Phulon ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din
Phir hath ko khairat mile band-e-qaba ki
Phir lutf-e-shab-e-vasl ko dohrao kisi din
Guzaren jo mere ghar se to ruk jayen sitare
Is tarah meri rat ko chamkao kisi din
Main apani har ik sans usi rat ko de dun
Sar rakh k mere sine pe so jao kisi din.



Bahut Muddat Ke Baad Kal Jab
Kitab-E-Zindagi Ko Maine Khola,
Bahut Se Chehre Nazar Mein Utre,
Bahut Se NaaMo Pe Dil Machla,
Ek Aisa Safa Bhi Aisa Aaya,
Likha Hua Tha Jo Aansuon Se,
Ke Jiska NaaM Dost Tha,
Jo Safa Sabse Pyaara Aur Aziz Tha,
Kuch Aur Aansu Ispe Tapke,
Kitab-E-Zindagi Ko Band Kar Ke
TuMhari Yaadon Mein Kho Gayi Main,
Agar Tu Milta To Kya Hota,
Inhi Khayalon Main So Gayi Main....












No comments:

Post a Comment